Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain

Published on September 11, 2021
Audio Stream 🎤 Sardar Hussain

Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Fatahe Karbobala Syed-e-Abrar Hussain
Fakhre Adam ka sharaf maut ki lalkar Hussain
Naaz karti hai mashiyat mere dildar Hussain
Bani-e-deen kahun' haq ka parastar Hussain

Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain
Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain
Muddato baad palat ker to ye din aaye Hussain
Dil ko taskeen hui farshe azaa laye Hussain

Kitne bechain hai rone ko ye shaida-e-Hussain
Haath seene pe rakha dil se kaha haye Hussain
Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain
Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain

Hum azakhano ki raunaq ko badhaye kyokar
Ye safe gham jo bichai hai uthaye kyokar
Dard jo tumne uthaye hai sunaye kyokar
Dil ko taskeen hai is gham ko bhulaye kyokar

Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain
Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain
Alwida kahke tumhe kaise sukoon payenge
Ghame Shabbir na hoga to kaha jayenge

Dar badar thokre ab hum na kahi khayenge
Sar jhukane ke liye dar pe tere aayenge
Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain
Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain

Aap ke ujde hue ghar ko Khuda Hafiz hai
Ek beemar ko muztar ko Khuda Hafiz hai
Maula Abbas-e-Dilwar ko Khuda Hafiz hai
Sogwaron ko Bahattar ko Khuda Hafiz hai

Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain
Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain
Hum azadaron ka Shashmahe Musafir ko salaam
Haath utha kar kare Abbas-e-Dilawar ko salaam

Qasim-o-Aun-o-Muhammad aur Akbar ko salaam
Dil na ro ro ke Zainab-e-Muztar ko salaam
Sogwaron ke azadaron ke ghamkhar Hussain
Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain

Alwida kaise kahe tumko razakar Hussain

फ़ातहे करबोबला सय्यदे अबरार हुसैन
फ़ख़्रे आदम का शरफ़ मौत की ललकार हुसैन
नाज़ करती है मशियत मेरे दिलदार हुसैन
बानीये दीन कहूँ हक़ का परस्तार हुसैन

सोगवारों के अज़ादारों के ग़मख़ार हुसैन
अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन
मुद्दतों बाद पलट कर तो ये दिन आए हुसैन
दिल को तसकीन हुई फर्शे अज़ा लाए हुसैन

कितने बेचैन हैं रोने को ये शैदा-ए-हुसैन
हाथ सीने पे रखा दिल से कहा हाय हुसैन
सोगवारों के अज़ादारों के ग़मख़ार हुसैन
अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन

हम अज़ाखानों की रौनक़ को बढ़ायें क्योंकर
ये सफ़े ग़म जो बिछाई है उठाए क्योंकर
दर्द जो तुमने उठाए हैं सुनाए क्योंकर
दिल को तसकीन है इस ग़म को भुलायें क्योंकर

सोगवारों के अज़ादारों के ग़मख़ार हुसैन
अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन
अलविदा कहके तुम्हें कैसे सुकूँ पाएँगे
ग़में

शब्बीर ना होगा तो कहाँ जाएँगे
दर बदर ठोकरे अब हम ना कहीं खाएँगे
सर झुकाने के लिए दर पे तेरे आएँगे
सोगवारों के अज़ादारों के ग़मख़ार हुसैन

अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन
आप के उजड़े हुए घर को ख़ुदा हाफ़िज़ है
एक बीमार को मुज़तर को ख़ुदा हाफ़िज़ है
मौला अब्बास-ए-दिलावर को ख़ुदा हाफ़िज़ है

सोगवारों का बहत्तर को ख़ुदा हाफ़िज़ है
सोगवारों के अज़ादारों के ग़मख़ार हुसैन
अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन
हम अज़ादारों का शशमाहे मुसाफ़िर को सलाम

हाथ उठा कर करें अब्बास-ए-दिलावर को सलाम
क़ासिमो औनो मुहम्मद और अकबर को सलाम
दिल रो रो के करे ज़ैनब-ए-मुज़तर को सलाम
सोगवारों के अज़ादारों के ग़मख़ार हुसैन

अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन
अलविदा कैसे कहें तुमको रज़ाकार हुसैन

← Return to Library