Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai

Published on August 14, 2021
Audio Stream 🎤 Saiyad Fahim

Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Ye Farshe Azaa kya hai samjhe to ise koi
Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Masooma-e-Aalam ka phaila hua daamaan' hai

Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Toofan-e-sitam lekar Aashoor ki shab aayi
Kya poochiye Zainab se kyun haal-e-pareshan' hai

Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Rukhsat hue ye kahkar Zainab se Shahewala
Bas aaj se tum sabka Allah nigahbaan' hai
Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai

Abbas Alam lekar paani ke liye nikle
Saahil pe khamoshi hai aur khaimon me toofan' hai
Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Akbar ka jawan' laasha Shabbir utha laye

Ayyub sa saabir bhi ye dekh ke hairan' hai
Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Dekhe to koi aa kar Islam ki paamaali
Raundi hui laashe hain jalta hua khaima' hai

Shabbir ka Afsana Islam ka unwaan' hai
Phaile to ye Imaan' hai Simte to ye Quran' hai

ये फर्शे अज़ा क्या है समझे तो इसे कोई
मासूमा-ए-आलम का फैला हुआ दामाँ है
शब्बीर का अफ़साना इस्लाम का उनवाँ है
तूफ़ान-ए-सितम लेकर आशूर की शब आई

क्या पूछिए ज़ैनब से क्यूँ हाले परेशाँ है
शब्बीर का अफ़साना इस्लाम का उनवाँ है
रूख़सत हुए ये कहकर ज़ैनब से शहेवाला
बस आज से तुम सबका अल्लाह निगहबाँ है

शब्बीर का अफ़साना इस्लाम का उनवाँ है
अब्बास अलम लेकर पानी के लिए निकले
साहिल पे ख़मोशी है और ख़ैमों में तूफाँ है
शब्बीर का अफ़साना इस्लाम का उनवाँ है

अकबर का जवाँ लाशा शब्बीर उठा लाए
अय्यूब सा साबिर भी ये देख के हैराँ है
शब्बीर का अफ़साना इस्लाम का उनवाँ है
देखे तो कोई आ कर इस्लाम की पामाली

रौंदी हुई लाशें हैं जलता हुआ ख़ैमाँ है
शब्बीर का अफ़साना इस्लाम का उनवाँ है
फैले तो ये ईमाँ है सिमटे तो ये
क़ुराँ है

← Return to Library