Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Musafiron ko Madina salaam kehta hai

Published on July 16, 2023
Audio Stream 🎤 Nasir Jehan

Musafiron ko Madina salaam kehta hai

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Safar hai kiska ke tooba salaam kehta hai
Faraaz-e-arshe mo'alla salaam kehta hai
Ye kaun jaata hai kaaba salaam kehta hai
Musafiron ko Madina salaam kehta hai

Hussain ye karam-e-kaarsaaz kya kehna
Durood-o-ishq o salaam e niyaz kya kehna
Ye husn ki niga-e-imtiyaz kya kehna
Kisi ka jalwa-e-akta salaam kehta hai

Musafiron ko Madina salaam kehta hai
Kidhar se dard ke maalik hawaye dard aayi
Ye kis ki aah tadap kar faza may lehrayi
Chale ho leke kidhar naazish-e-maseehayi

Koi mareez tumhara salaam kehta hai
Musafiron ko Madina salaam kehta hai
Ye jaante hai bane ho rah-e-riza ke liye
Bahot dino se ho bechain Karbala ke liye

Hussain mud ke zara dekh lo Khuda ke liye
Rawaq-e-Mashad-e-Zehra salaam kehta hai
Musafiron ko Madina salaam kehta hai
Nazar ke hai ye ishare zabaan nahi khulti

Kisi ke dard ke maare zabaan nahi khulti
Nabi ke raaj dulaare zabaan nahi khulti
Dilon ka dard-e-maseeha salaam kehta hai
Musafiron ko Madina salaam kehta hai

Salaam lijiye Aaqa ab apne bando ka
Har ek qaum ke millat ke haq pasando ka
Salaam saare zamaane ke dardmandon ka
Hussain saara zamana salaam kehta hai

Musafiron ko Madina salaam kehta hai

सफ़र है किसका के तूबा सलाम कहता है
फ़राज़-ए-अर्श-ए-मुअल्ला सलाम कहता है
ये कौन जाता है काबा सलाम कहता है
मुसाफ़िरों को मदीना सलाम कहता है

हुसैन ये करम-ए-कारसाज़ क्या कहना
दुरूद-ओ-इश्क़ ओ सलाम-ए-नियाज़ क्या कहना
ये हुस्न की निगह-ए-इम्तियाज़ क्या कहना
किसी का जल्वा-ए-अकता सलाम कहता है

मुसाफ़िरों को मदीना सलाम कहता है
किधर से दर्द के मालिक हवाएँ दर्द आई
ये किस की आह तड़प कर फ़िज़ा में लहराई
चले हो लेके किधर नाज़िश-ए-मसीहाई

कोई मरीज़ तुम्हारा सलाम कहता है
मुसाफ़िरों को मदीना सलाम कहता है
ये जानते हैं बने हो रहे रज़ा के लिए
बहुत दिनों से हो बेचैन करबला के लिए

हुसैन मुड़ के ज़रा देख लो ख़ुदा के लिए
रवाक़-ए-मशहद-ए-ज़हरा सलाम कहता है
मुसाफ़िरों को मदीना सलाम कहता है
नज़र के हैं ये इशारे ज़बान नहीं खुलती

किसी के दर्द के मारे ज़बान नहीं खुलती
नबी के राजदुलारे ज़बान नहीं खुलती
दिलों का दर्द-ए-मसीहा सलाम कहता है
मुसाफ़िरों को मदीना सलाम कहता है

सलाम लीजिए आक़ा अब अपने बंदों का
हर एक क़ौम के मिल्लत के हक़ पसंदों का
सलाम सारे ज़माने के दर्दमंदों का
हुसैन सारा ज़माना सलाम कहता है

मुसाफ़िरों को मदीना सलाम कहता है

← Return to Library