Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Imam Zayn al-Abidin (A.S.) Imam Sajjad (A.S.) 🎤 Reciter: Zafar Abbas Zafar →

Mili Rihai To Abid Ye Kaam Kar Ke Chale

Published on September 6, 2021
Audio Stream 🎤 Zafar Abbas Zafar

Mili Rihai To Abid Ye Kaam Kar Ke Chale

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Mili rihai to Abid ye kaam kar ke chale
Sab aansu qabre Sakina ke naam kar ke chale
Ye ahle shaam se bolay agar na ho zehmat
Diya jalaa diya karna agar milay fursat

Behen ke waaste ye ihtemaam kar ke chale
Sab aansu qabre Sakina ke naam kar ke chale
Dua jo karti thi ro ro ke wo bhi din aaye
Wo jis ke dil main ye armaan tha watan jaaye

Use hawala-e-zindane shaam kar ke chale
Sab aansu qabre Sakina ke naam kar ke chale
Koi hamara mara to kaha Hussain Hussain
Aza ka farsh bicha to kaha Hussain Hussain

Ye intezaam bhi chauthe Imam kar ke chale
Sab aansu qabre Sakina ke naam kar ke chale
"Zafar" sadaa yehi aati thi aye mere baba
Sabhi watan gaye main qaid main rahi tanha

Lahad pe ahle haram jab salaam kar ke chale
Sab aansu qabre Sakina ke naam kar ke chale

मिली रिहाई तो आबिद यह काम कर के चले
सब आँसू क़ब्रे सकीना के नाम कर के चले
ये अहले शाम से बोले अगर ना हो ज़हमत
दिया जला दिया करना अगर मिले फ़ुर्सत

बहन के वास्ते ये एहतमाम कर के चले
सब आँसू क़ब्रे सकीना के नाम कर के चले
दुआ जो करती थी रो रो के वो भी दिन आए
वो जिस के दिल में ये अरमान था वतन जाए

उसे हवाला-ए-ज़िंदाने शाम कर के चले
सब आँसू क़ब्रे सकीना के नाम कर के चले
कोई हमारा मरा तो कहा हुसैन हुसैन
अज़ा का फर्श बिछा तो कहा हुसैन हुसैन

ये इंतज़ाम भी चौथे इमाम कर के चले
सब आँसू क़ब्रे सकीना के नाम कर के चले
"ज़फ़र" सदा यही आती थी अये मेरे बाबा
सभी वतन गए मैं क़ैद में रही तन्हा

लहद पे अहले हरम जब सलाम कर के चले
सब आँसू क़ब्रे सकीना के नाम कर के चले

← Return to Library