Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega

Published on October 24, 2015
Audio Stream 🎤 GRAFH AGENCY LUCKNOW

Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Usko Islam se hai pyaar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Kalmagowo ajare risalat to ada pahle karo

Tab Muhammad ka parastar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Dosti dushamne Haider se nahi karte hum
Waqt aaya to sare daar kaha jayega

Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Wo musalaman jise yaad nahi Karbobala
Bil yaqeen zehan ka beemar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega

Aao matam karo Sarwar ke azadar bano
Warna qatil ka tarafdar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Jiske sajde me na shaamil ho Ali ki ulfat

Uske har sajde ko bekaar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Cheen kar baith gaye Zahra ka jo baghe fidaq
Kis tarah unko zameela kaha jayega

Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Dekhna hashr ke maidan me in ashko ka kamaal
Humko jannat ka kharidaar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega

Jo na masoom ho lekin amal se masoom
Usko Abbas Alamdaar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega
Jo bhi aankhe ghame Sarwar me na roye

Danish Aisi ankho ko khatakar kaha jayega
Jisko Sarwar ka azadar kaha jayega

जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
उसको इस्लाम से है प्यार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
कलमागो अजरे रिसालत तो अदा पहले करो

तब मुहम्मद का परस्तार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
दोस्ती दुशमने हैदर से नहीं करते हम
वक़्त आया तो सरे-दार कहा जाएगा

जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
वो मुसलमान जिसे याद नहीं करबोबला
बिल यक़ीन ज़हन का बीमार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा

आओ मातम करो सरवर के अज़ादार बनो
वरना क़ातिल का तरफ़दार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
जिसके सजदे में ना शामिल हो अली की उल्फ़त

उसके हर सजदे को बेकार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
छीन कर बैठ गये ज़हरा का जो बाग़े फ़िदक़
किस तरह उनको ज़मीला कहा जाएगा

जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
देखना हश्र के मैदान में इन अश्कों का कमाल
हमको जन्नत का ख़रीदार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा

जो ना मासूम हो लेकिन अमल से मासूम
उसको अब्बास अलमदार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा
जो भी आँखे ग़मे सरवर में ना रोयें

"दानिश" ऐसी आँखो को ख़ताकार कहा जाएगा
जिसको सरवर का अज़ादार कहा जाएगा

← Return to Library