Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Hazrat Ali Asghar manqabat

Published on November 21, 2012
Audio Stream 🎤 Shujaat Abbas

Hazrat Ali Asghar manqabat

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Her Jung Main Qanoon Hai Hathiyaar Se Larna
Khanjar Se Kabhi Teer Se Talwaar Se Larna
Aata Hai Nahi Logon Ko Afkar Se Larna
Samjhaoonga Duniya Ko Mai Kirdaar Se Larna

Dushman se maarke ka tareeqa badal diya
Asghar ne pal me jung ka naqsha badal diya
Qatil ko apne teer pe tha fatah ka gumaan
Asghar ne muskura ke nateeja badal diya

Go jism ka qad Sura-e-Wannas se kam tha
Rutba na magar Hazrat-e-Aliyas se kam tha
Go Zor-e-Taba jo aaj pyaas se kam tha
Taqat me na Akbar se na Abbas se kam tha

Asghar ne ladai ke qawaaneen banaye
Jo sabse bahadur ho wo aakheer me jaye
Kaaba samajh loon kaise har ek sang-e-dar ko mai
Pehchanta hoon aale Mohammed ke ghar ko mai

Meri nigah me Ali asghar ki jung hai
Hathiyaar mantaa nahi tegh-o-sipar ko mai

हर जंग में क़ानून है हथियार से लड़ना
ख़ंजर से कभी तीर से तलवार से लड़ना
आता है नहीं लोगों को अफ़्कार से लड़ना
समझाऊँगा दुनिया को मैं किरदार से लड़ना

दुश्मन से मारके का तरीक़ा बदल दिया
असग़र ने पल मे जंग का नक़्शा बदल दिया
क़ातिल को अपने तीर पे था फ़तह का गुमान
असग़र ने मुस्कुरा के नतीजा बदल दिया

गो जिस्म का क़द सुरा-ए-वन्नास से कम था
रुतबा ना मगर हज़रते इलियास से कम था
गो ज़ोरे तब्अ' जो आज प्यास से कम था
ताक़त में ना अकबर से ना अब्बास से कम था

असग़र ने लड़ाई के नये क़वानीन बनाए
जो सबसे बहादुर हो वो आख़ीर में जाए
काबा समझ लूँ कैसे हर एक संगे दर को मैं
पहचानता हूँ आले मोहम्मद के घर को मैं

मेरी निगाह में अली असग़र की जंग है
हथियार मानता नही तेग़ो सिपर को मैं

← Return to Library