Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Dukhtare Shabbir ki tashnadahani dekh kar

Published on September 6, 2022
Audio Stream 🎤 Sachey Bhai

Dukhtare Shabbir ki tashnadahani dekh kar

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Dukhtare Shabbir ki tashnadahani dekh kar
Khoon aankhon may utar aata hai paani dekh kar
Dukhtare Shabbir....
Dono haathon se jigar ko thaam kar tadpe Hussain

Khaaq may milti Mohammed ki nishaani dekh kar
Dukhtare Shabbir....
Aks pyaso ka nazar aaya jo satah-e-aab par
Ro diye Abbas darya ki rawaani dekh kar

Dukhtare Shabbir....
Pani pani hogayi darya ki mauje sharm se
Hazrat-e-Abbas ki aankhon may paani dekh kar
Dukhtare Shabbir....

Tak rahe hai pyar se bete ki soorat ko Hussain
Maut roti hai sarahne naujawaani dekh kar
Dukhtare Shabbir....
Sar patakti hai behan khaime may rote hai haram

Halqe Shahe Deen pe khanjar ki rawaani dekh kar
Dukhtare Shabbir....
Haye kya batlaye kya guzri dile Shabbir par
Ghodon ki taapo may bhai ki nishaani dekh kar

Dukhtare Shabbir....
Khushk honton par phirayi jab zaban Besheer ne
Ro diya lashkar ada-e-bezabaani dekh kar
Dukhtare Shabbir....

दुख़्तरे शब्बीर की तशनादहानी देख कर
ख़ून आँखों में उतर आता है पानी देख कर
दुख़्तरे शब्बीर....
दोनों हाथों से जिगर को थाम कर तड़पे हुसैन

ख़ाक में मिलती मोहम्मद की निशानी देख कर
दुख़्तरे शब्बीर....
अक्स प्यासों का नज़र आया जो सतहे आब पर
रो दिये अब्बास दरया की रवानी देख कर

दुख़्तरे शब्बीर....
पानी पानी हो गई दरया की मौजे शर्म से
हज़रते अब्बास की आँखों में पानी देख कर
दुख़्तरे शब्बीर....

तक रहे हैं प्यार से बेटे की सूरत को हुसैन
मौत रोती है सराहने नौजवानी देख कर
दुख़्तरे शब्बीर....
सर पटकती है बहन ख़ैमें में रोते है हरम

हलक़े शाहे दीं पे ख़ंजर की रवानी देख कर
दुख़्तरे शब्बीर....
हाय क्या बतलायें क्या गुज़री दिले शब्बीर पर
घोड़ों की टापों में भाई की निशानी देख कर

दुख़्तरे शब्बीर....
ख़ुश्क होंटों पर फिराई जब ज़बाँ बेशीर ने
रो दिया लश्कर अदा-ए-बेज़बानी देख कर
दुख़्तरे शब्बीर....

← Return to Library