Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Imam Zayn al-Abidin (A.S.) Imam Sajjad (A.S.) 🎤 Reciter: Nazim Hussain → ✍️ Poet: Nazim Hussain →

Chala jab qaafile ko leke suye kufa-o-shaam

Published on August 20, 2022
Audio Stream 🎤 Nazim Hussain

Chala jab qaafile ko leke suye kufa-o-shaam

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Chala jab qaafile ko leke suye kufa-o-shaam
Mera mazloom Imam
Sar khule Zainabe muztar thi aur tha majma-e-aam
Mera mazloom Imam

Sar jhukaye hue yun chalte rahe Shahe Umam
Aur badh jaata tha ye dekh ke beemaar ka gham
Berida thi phuphi aur shaam ka bazaar-e-aam
Mera mazloom Imam

Chala jab qaafile....
Paon may bediyan thi tauq galay may tha pada
Uspe beemaar ke haathon pe udoo ke durray
Ghash kayi baar safar may hue bemaar Imam

Mera mazloom Imam
Chala jab qaafile....
Ro ro kehti thi Sakina phupi ab kya hoga
Jhoola jalne laga bhai bhi mera ran ko gaya

Aag khaimo may lagi jal gaya asbaab tamaam
Mera mazloom Imam
Chala jab qaafile....
Laashe Qasim ko sameta Shahe Deen ne jis dum

Mehendi haathon pe lagi dekh ke rotay thay haram
Rang ye sehre ki mili saath may kaisa tha sitam
Mera mazloom Imam
Chala jab qaafile....

Khoon tapakta tha hai "Hasan" noke qalam se ab to
Dil phata jaata hai is soz-e-alam se ab to
Girya karte hai malak roke yehi subho shaam
Mera mazloom Imam

Chala jab qaafile ko leke suye kufa-o-shaam
Sar khule Zainabe muztar thi aur tha majma-e-aam

चला जब क़ाफ़िले को ले के सुए कूफ़ा-ओ-शाम
मेरा मज़लूम इमाम
सर खुले ज़ैनब-ए-मुज़तर थी और था मजमा-ए-आम
मेरा मज़लूम इमाम

सर झुकाए हुए यूँ चलते रहे शाहे उमम
और बढ़ जाता था ये देख के बीमार का ग़म
बेरिदा थी फूफी और शाम का बाज़ार-ए-आम
मेरा मज़लूम इमाम

चला जब क़ाफ़िले....
पाँव में बेड़ियाँ थी तौक़ गले में था पड़ा
उस पे बीमार के हाथों पे उदू के दुर्रे
ग़श कई बार सफ़र में हुए बीमार इमाम

मेरा मज़लूम इमाम
चला जब क़ाफ़िले....
रो रो कहती थी सकीना फूफी अब क्या होगा
झूला जलने लगा भाई भी मेरा रन को गया

आग ख़ैमों में लगी जल गया असबाब तमाम
मेरा मज़लूम इमाम
चला जब क़ाफ़िले....
लाशे क़ासिम को समेटा शहे दीं ने जिस दम

मेहँदी हाथों पे लगी देख के रोते थे हरम
रंग ये सेहरे की मिली साथ में कैसा था सितम
मेरा मज़लूम इमाम
चला जब क़ाफ़िले....

खूँ टपकता था है "हसन" नोके क़लम से अब तो
दिल फटा जाता है इस सोज़-ए-अलम से अब तो
गिरया करते है मलक रोके यही सुबह-ओ-शाम
मेरा मज़लूम इमाम

चला जब क़ाफ़िले को ले के सुए कूफ़ा-ओ-शाम
सर खुले ज़ैनबे मुज़तर थी और था मजमा-ए-आम

← Return to Library