Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Bunyade la ilaha wujood-e-azan Hussain

Published on September 19, 2021
Audio Stream 🎤 Anjuman Tableegh

Bunyade la ilaha wujood-e-azan Hussain

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Bunyade la ilaha w
ajood-e-azan Hussain
Qad qamatis salaat ke rooh-e-rawan Hussain
Mere rasool e paak hai Quran ki tarha

Sher-e-Khuda ki zaat hai juzdaan ki tarha
Aur Sayyeda hai Sura-e-Rehman ki tarha
Sulhe Hasan hai aman ke maidan ki tarha
Roohe kalaame paak ke hai darmiyan Hussain

Bunyade lailaaha....
Maula Ali jahan bhi hai haq saath saath hai
Quran ki bandishon may waraq saath saath hai
Aur aasman pe jaise shafaq saath saath hai

Kalma hai aur deen ka sabaq saath saath hai
Islam jis jagah hai samajh lo wahan Hussain
Bunyade lailaaha....
Badnaam-o-benishan lashkar yazeed ka

Dozakh ki aag bangayi bistar yazeed ka
Ruswayi ban gayi hai muqaddar yazeed ka
Koi mehal hai ghar na koi dar yazeed ka
Jannat se badh gaya tera aasta Hussain

Bunyade lailaaha....
Mushkil ke waqt aata hai Khyber Shikan ka naam
Dharas hai mere qalb ki Shahe Zaman ka naam
Jaise azan may Akbar-e-gulpayrahan ka naam

Mehshar ke dil pe naqsh hai yun Panjatan ka naam
Ye dil bana hua hai tera gulsitan Hussain
Bunyade lailaaha....

बुनयादे ला इलाहा वजूदे अज़ाँ हुसैन
क़द क़ामतीस सलात के रूहे रवाँ हुसैन
मेरे रसूले पाक हैं क़ुरान की तरहा
शेरे ख़ुदा की ज़ात है जुज़दान की तरहा

और सय्यदा हैं सूरा-ए-रहमान की तरहा
सुलहे हसन हैं अमन के मैदान की तरहा
रूहे कलामे पाक के हैं दरमियाँ हुसैन
बुनयादे ला इलाहा.....

मौला अली जहाँ भी है हक़ साथ साथ है
क़ुरान की बंदिशों में वरक़ साथ साथ है
और आसमाँ पे जैसे शफ़क़ साथ साथ है
कलमा है और दीन का सबक़ साथ साथ है

इस्लाम जिस जगह है समझ लो वहाँ हुसैन
बुनयादे ला इलाहा.....
बदनाम-ओ-बेनिशान लश्कर यज़ीद का
दोज़ख़् की आग बन गयी बिस्तर यज़ीद का

रुसवाई बन गयी है मुक़द्दर यज़ीद का
कोई महल है घर ना कोई दर यज़ीद का
जन्नत से बढ़ गया तेरा आस्ताँ हुसैन
बुनयादे ला इलाहा.....

मुश्किल के वक़्त आता है ख़ैबर शिकन का नाम
ढारस है मेरे क़ल्ब की शाहे ज़मन का नाम
जैसे अज़ाँ में अकबरे गुलपैरहन का नाम
महशर के दिल पे नक़्श है यूँ पंजतन का नाम

ये दिल बना हुआ है तेरा गुलसिताँ हुसैन
बुनयादे ला इलाहा.....

← Return to Library