Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Beta hai tu Ali ka Zehra ki tu dua hai

Published on August 19, 2021
Audio Stream 🎤 Shahid Baltistani

Beta hai tu Ali ka Zehra ki tu dua hai

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Abbas Abbas Abbas
Beta hai tu Ali ka Zehra ki tu dua hai
Shabbir tera aaqa Umm-ul-Baneen maa hai
Har surat-o-chalan mein Haider se na juda hai

Taa hashar tujh se qaayam dunya mein bas wafa hai
Abbas Abbas Abbas
Tere alam ko thamay har shakhs keh raha hai
Mazloom-e-Karbala ka Zainab ka wasta hai

Pardesi koi aisa pardes mein na ujray
Sadqay mein us ke jis ka gharbaar lut gaya hai
Abbas Abbas Abbas
Us waqt jab ke Zainab darbaar mein gayi thi

Qaari namaziyo’n se mehfil saji hui thi
Zaalim ye poochta tha Ghazi tera kahan hai
Baalo’n se mooh chupayay Zainab ye keh rahi thi
Abbas Abbas Abbas

Taqdeer ke sataaye tere dar pe sar jhukaae’n
Ashqo’n ki iltija hum Ghazi tujhay sunaae’n
Beemaar saarbaa’n ke zakhmo’n ka waasta hai
Jitnay bhi khasta dil hain Mola shifa wo paae’n

Abbas Abbas Abbas
Dil ki muradey Ghazi teray alam se paayai’n
Roti hui jo maaei’n teray alam pe aayai’n
Zahra ke dard-e-pehlu ka deti hain waasta

Fizza ki kaneezi mein in ka bhi naam aayay
Abbas Abbas Abbas
Shaam-e-Gharibaan mein jiska kurta jal gaya
hai

Kaano'n se baaliya'n bhi shimr le gaya
hai
Is bebasi se Maula  bachchi koi na tarsey
Farsh-e-Azaa pe rokar har dil ye kah raha hai

Abbas Abbas Abbas
Jitney bhi ashq Mola qirtaas par giray hain
Masooma ki kasam ye Ghazi faqat teray hain
Wo kuch raqam karoon main jo na raqam hua hai

Alfaaz wo ataa kar "Yawar" se jo paray hain
Abbas Abbas Abbas
saarbaan = camel-rider, driver
qirtaas = paper

अब्बास अब्बास अब्बास
बेटा है तू अली का ज़हरा की तू दुआ है
शब्बीर तेरा आक़ा उम्मुल बनीन माँ है
हर सूरत-ओ-चलन में हैदर से ना जुदा है

ताहशर तुझ से क़ायम दुनिया में बस वफ़ा है
अब्बास अब्बास अब्बास
तेरे अलम को थाम हर शख़्स कह रहा है
मज़लूम-ए-करबला का, ज़ैनब का वास्ता है

परदेसी कोई ऐसा परदेस में ना उजड़े
सदक़े में उस के जिस का घरबार लुट गया है
अब्बास अब्बास अब्बास
उस वक़्त जब के ज़ैनब दरबार में गयी थी

क़ारी नमाज़ियों से महफ़िल सजी हुई थी
ज़ालिम ये पूछता था गाज़ी तेरा कहाँ है
बालों से मुँह छुपाये ज़ैनब ये कह रही थी
अब्बास अब्बास अब्बास

तक़दीर के सताए तेरे दर पे सर झुकाए
अश्क़ों की इल्तिजा हम गाज़ी तुझे सुनाएं
बीमार सारबान के ज़ख़्मों का वास्ता है
जितने भी ख़स्ता दिल हैं मौला शिफा वो पाएं

अब्बास अब्बास अब्बास
दिल की मुरादें गाज़ी तेरे अलम से पाएं
रोटी हुई जो मायें तेरे आलम पे आयें
ज़हरा के दर्द-ए-पहलू का देती हैं वास्ता

फ़िज़्ज़ा की कनीज़ी में इन का भी नाम आये
अब्बास अब्बास अब्बास
शाम-ए-ग़रीबां में जिसका कुर्ता जल गया
है

कानों से बालियाँ भी शिम्र ले गया है
इस बेबसी से मौला बच्ची कोई ना तरसे
फर्श-ए-अज़ा पे रोकर हर दिल ये कह रहा है
अब्बास अब्बास अब्बास

जितने भी अश्क़ मौला कीरतास पर गिरे हैं
मासूमा की कसम ये गाज़ी फक़त तेरे हैं
वो कुछ रक़म करूँ मैं जो ना रक़म हुआ है
अल्फ़ाज़ वो अता कर "यावर" से जो परे हैं

अब्बास अब्बास अब्बास
सारबान = ऊंट की महार पकड़ के चलने वाला
कीरतास = काग़ज़

← Return to Library