Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Aye shaam ke logon mai Binte Ali hoo

Published on August 23, 2022
Audio Stream 🎤 Mir Hasan Mir

Aye shaam ke logon mai Binte Ali hoo

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Aye shaam ke logon mai Binte Ali hoo
Mai Waarise Tatheer hoo namoose Nabi hoo
Bazaar se darbaar may le aaye ho mujhko
Chahoo to jala sakti hoo khutbo se mai tumko

Saabir ki behan hoo jo mai khamosh khadi hoo
Aye shaam ke logon...
Afsos kaneezi may usay maang rahe ho
Tum jiske ghulamo ki ghulami may rahe ho

Ye zulm na hoga kabhi mai zinda abhi hoo
Aye shaam ke logon...
Tum apne payambar ko agar dekhna chaho
Naize pe jo ye sar hai isay ghaur se dekho

Humshakle payambar hai ye mai iski phupi hoo
Aye shaam ke logon...
Aur is se kathan waqt kya hoga mere maabood
Fizza ke tarafdaar hai darbar may maujood

Mai pusht pe fizza ke khadi dekh rahi hoo
Aye shaam ke logon...
Zehra ko bhi darbaar may tumne tha bulaya
Darbar may mai bhi hoo magar farq hai itna

Parde may thi woh aur mai beparda khadi hoo
Aye shaam ke logon...
Zanjeero mai jakda jo ye beemaar khada hai
Sajda ise Kaabe ki faseelo ne kiya hai

Mansab may bada wo hai mai rishte may badi hoo
Aye shaam ke logon...
Zindan tha to darr darr ke hamesha hi laday ho
Ab sar hai to honton pe chadi maar rahe ho

Tum kitne bahadur ho mai ye dekh rahi hoo
Aye shaam ke logon...
Hone lagi darbar may mushtarqa azanay
"Rehaan" idhar naame Nabi gunja fiza may

Bibi ne kaha fakhr se mai jeet gayi hoo
Aye shaam ke logon...

अये शाम के लोगों मैं बिन्ते अली हूँ
मैं वारिसे ततहीर हूँ नामूसे नबी हूँ
बाज़ार से दरबार में ले आए हो मुझको
चाहूँ तो जला सकती हूँ ख़ुतबों से मैं तुमको

साबिर की बहन हूँ जो मैं खामोश खड़ी
हूँ
अये शाम के लोगों...
अफ़सोस कनीज़ी में उसे माँग रहे हो

तुम जिसके ग़ुलामों की ग़ुलामी में रहे हो
ये ज़ुल्म ना होगा कभी मैं ज़िंदा अभी हूँ
अये शाम के लोगों...
तुम अपने पयम्बर को अगर देखना चाहो

नैज़े पे जो ये सर है इसे ग़ौर से देखो
हमशक्ले पयम्बर है ये मैं इसकी फूफी हूँ
अये शाम के लोगों...
और इससे कठिन वक़्त क्या होगा मेरे माबूद

फ़िज़्ज़ा के तरफ़दार हैं दरबार में मौजूद
मैं पुश्त पे फ़िज़्ज़ा के खड़ी देख रही हूँ
अये शाम के लोगों...
ज़हरा को भी दरबार में तुमने था बुलाया

दरबार में मैं भी हूँ मगर फ़र्क़ है इतना
पर्दे में थीं वो और मैं बेपर्दा खड़ी हूँ
अये शाम के लोगों...
ज़ंजीरो में जकड़ा जो ये बीमार खड़ा है

सजदा इसे काबे की फ़सीलों ने किया है
मनसब में बड़ा वो है मैं रिश्ते में बड़ी हूँ
अये शाम के लोगों...
ज़िंदा था तो डर डर के हमेशा ही लड़े हो

अब सर है तो होंठों पे छड़ी मार रहे हो
तुम कितने बहादुर हो मैं ये देख रही हूँ
अये शाम के लोगों...
होने लगी दरबार में मुशतरका अज़ानें

"रेहान" इधर नामे नबी गूंजा फ़िज़ा में
बीबी ने कहा फ़ख़्र से मैं जीत गयी हूँ
अये शाम के लोगों मैं बिन्ते अली हूँ
मैं वारिसे ततहीर हूँ नामूसे नबी हूँ

← Return to Library