Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Aakhri waqt hai marne ki raza do Zainab

Published on August 19, 2021
Audio Stream 🎤 Shahzade Bhai

Aakhri waqt hai marne ki raza do Zainab

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Aakhri waqt hai marne ki raza do Zainab,
Apne haathon se kafan mujhko pinha do Zainab
Waqt rone ka nahi ankhon se ansu poncho,
Bhai ko houslaye sabro raza do Zainab

Farz ki raah mein uthe na mohabbat ka sawal,
Hai Sakina dare qaime pe hata do Zainab
Hote Abbas toh takleef na deta tumko,
Ek majboor ko ghode pe bithado Zainab

Muntazir shimr ka khanjar hai meri gardan ka,
Zindagi ki nahi marne ki raza do Zainab
Uff na karna jo kalayi mein rasan bandh jaye,
Sabr amma ka zamane ko dikhado Zainab

God ke palon ko jungle mein sula aaya hoon,
Marne walon ko na ro ro ke sada do Zainab...
Asr ke baad zamane mein andhera hoga,
Apne ashqon se chiragon ko jala do Zainab...

आख़री वक़्त है मरने की रज़ा दो ज़ैनब,
अपने हाथों से कफ़न मुझको पिंहा दो ज़ैनब
वक़्त रोने का नहीं आँखों से आँसू पोंछो,
भाई को हौसलये सब्रो रज़ा दो ज़ैनब

फ़र्ज़ की राह में उठे ना मोहब्बत का सवाल,
है सकीना दरे ख़ैमा पे हटा दो ज़ैनब
होते अब्बास तो तकलीफ़ ना देता तुमको,
एक मजबूर को घोड़े पे बिठा दो ज़ैनब

मुंतज़िर शिम्र का खंजर है मेरी गर्दन का,
ज़िंदगी की नहीं मरने की रज़ा दो ज़ैनब
उफ़ ना करना जो कलाई में रसन बंध जाए,
सब्र अम्मा का ज़माने को दिखा दो ज़ैनब

गोद के पाले को जंगल में सुला आया हूँ,
मरने वालों को ना रो रो के सदा दो ज़ैनब
अस्र के बाद ज़माने में अंधेरा होगा,
अपने अश्क़ों से चिरागों को जला दो ज़ैनब

← Return to Library